Saturday, February 15, 2014

Baitha Hu Masjid e Nabwi Main

Aa'oozobillahi Minash Shaitaanir Rajeem
Bismillahir Rehmanir Raheem

Sallallaho Ala Mohammadiyun Wa Aaalihi Wasallam


Khushboo-e-Peham Aati Hai 

Baitha Hu Masjid-e-Nabawi Mein
Yu Sansein mehki mehki hai
Baitha Hu Masjid-e-Nabawi Mein
Mehsoos huwa hai yoon mujh ko 
ke Shehr-e-Noor Mein Baitha Hu
Kya Noor Ki Kirnay  Utri Hai
Baitha Hu Masjid e Nabavi Mein
Mashghool Duroodon Mein hu kabhi
Masroof Duaon Mein Hu kabhi
Naatein Bhi Labon Par Rehti Hai
Baitha Hu Masjid e Nabawi Mein
Ramazan Ki Baharain  Aee Hai 
Bakhshish ka mujda laee hai
Rehmat Ki Gatha'ain barsi hai
Baitha Hu Masjid e Nabvi Mein
Nazrain Hai Gumbad-e-Khazra Par 
Hathon mein Khajoor Madinay Ki
Iftar Ki Ghadiyan Aee hai
Baitha Hoon Masjid-e-Nabwi Mein
Iftar Mein Dastarqan Sajay
Sehri Ki Ronaq Kya Kehna
Jannat Ki Hawa'ain Chalti Hai
Baitha Hu Masjid e Nabawi Mein
Kya Baat Ujagar Hai Meri 
qismat bhi rashk karay Mujh par
Kay  Saamne Yaawar O Haami Hai
Baitha Hun Masjid e Nabawi Mein
Khushboo-e-Peham Aati Hai 
Baitha Hu Masjid-e-Nabawi Mein
Yu Sansein mehki mehki hai


No comments:

Post a Comment